Na kar gila uss cheez pe jo tujhse esse khogaya.. Tuta sitaara tha jo tu woh dekh chaand hogaya..!! .. Khudpe yaqeen rakh ke jo tha raakh mei hi sogaya..!! Chingaariyon ki aag se woh tha mashaal hogaya..!! .. Na gam usse hawa ka tha na darr usse uss raat ka.. Sulgaa tha jo uss raat mei woh yaar jugnoon ka hogaya..!! .. Shikhar ki orr nazar kare woh raah se phir kyun dare.. Jo raah pe the yunn chale woh safar mei hi phir kyun mare..!! .. Hai faaslon ki yeh ghadi ismei na ruk tu yun abhi.. Tu ladd zara iss waqt se hai kya kami tujhko khali.. .. Chal ke teri ab manzilein bhi esse ek din aayengi.. Lehra uthega naam tera hawayein bhi yeh gaayengi..!! .. Dafan fir har khushi ke neeche gam bhi yun hojayega.. Tu rakh yaqeen khudpe hi tu khud bada hojayega..!! .....
Teri aankhon mei basse un bade
sapno se..
Tere un sapno ke peeche beparvaah daudne se..
Waqt ke bnaye har lamhe ko apni hi dhunn mei modne se..
Har mod par sath rahunga mai !
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan !!
..
..
Har mausam ki pehli barsaat ki tarah..
Woh ghadi ki tikk tikk ki awaaz ki tarah..
Tera yun mujhe intezaar krvaana..
Ek bhatke rahgir ki tarah..
Nahi bhoolunga mai !
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..!!
..
..
Teri un bachkaani harqaton se..
Tere dayron mei fase un behisaab iraado se..
Teri har baat par waqt ko beech mei laane se..
Baat baat par tere yun sehm jaane se..
Mera hath us pal na thamne se..
Shikvaa krunga mai !
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..!!
..
..
Un adhuri needon ke mukammal sapno se..
Humare pakh rishte ki buniyaad pr rakhe tera har us kadam se..
Bin kahe meri har baat ko samjh jaane se..
Mohobbat karunga mai !
Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan..!!

Nyc��������
ReplyDelete