Skip to main content

Recent

Nazm: Na kar gila uss cheez pe jo tujhse esse khogaya..⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣!!

Na kar gila uss cheez pe jo tujhse esse khogaya..⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ Tuta sitaara tha jo tu woh dekh chaand hogaya..!!⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ ..⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ Khudpe yaqeen rakh ke jo tha raakh mei hi sogaya..!!⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ Chingaariyon ki aag se woh tha mashaal hogaya..!!⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ ..⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ Na gam usse hawa ka tha na darr usse uss raat ka..⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ Sulgaa tha jo uss raat mei woh yaar jugnoon ka hogaya..!!⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ ..⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ Shikhar ki orr nazar kare woh raah se phir kyun dare..⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ Jo raah pe the yunn chale woh safar mei hi phir kyun mare..!!⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ ..⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ Hai faaslon ki yeh ghadi ismei na ruk tu yun abhi..⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ Tu ladd zara iss waqt se hai kya kami tujhko khali..⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ ..⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ Chal ke teri ab manzilein bhi esse ek din aayengi..⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ Lehra uthega naam tera hawayein bhi yeh gaayengi..!!⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ ..⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ Dafan fir har khushi ke neeche gam bhi yun ⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣hojayega..⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ Tu rakh yaqeen khudpe hi tu khud bada hojayega..!!⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣⁣ ..⁣⁣⁣⁣⁣...

Iss dil ko nahi aata kissi aur ko apna bnana

Manzoor sa hogya hai dil ko sabka door chle jaana..
Sikh liya hai maine nafrat ko apnaana..
Kiya hai jo wada tujhse aaj bhi hai voh nibhana..
Teri khushi ke liye tujhse hi door chle jaana..

Iss dil ko nahi aata kissi aur ko apna bnana    (X2)

..
Kismat ko gile the humse ya humare hi waqt ko humari qadar na thi..
Door hi jana tha usko toh uske pyaar mei itnii shiddat kyu thi..
Koshish krte krte thak gaya hun uthkar hai khud ko sambhalna..
Iss dil ko nahi aata kissi aur ko apna bnana.   (X2)

..
Hasi ka bhi koi theekana na raha jab khud ki ruh ne hi bol diya ab tere pyaar ka koi aashiyana na raha..
Rone ki koshish toh bht ki par abb mere aansuon ka bhi koi paimanaa na raha..
Iss pyaar ki kahani ka tha bas do lafzo mei hi simat kr reh jana..
Iss dil ko nahi aata kissi aur ko apna bnana.   (X2)

..
Kal toh beet gya tere sath pr mera aaj hai teri un yaadon ke sath..
Koshish ki thi bhula du pr mere zakhm bhi keh gye kissi aur mei hai nahi voh baat..hai nahi voh baat !!

Haan Iss dil ko nahi aata kissi aur ko apna bnana..!!
Haan Iss dil ko nahi aata kissi aur ko apna bnana..!!

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Tera yun muskurana

Tera yun muskurana..Tera yun muskurana.. Meri saanso ka yun tere naam pr aakr tham jana.. Tere pal pal guzarte lamhe ka yun meri bahon mei samana.. Tera yun muskurana..Tera yun muskurana..!! .. .. Aankhe bandd krke tujhe apni palko ke samne paana.. Mere alfaazo ka teri shaqsiyat ko bayan kr jana. dil mei chupaye un armaano ko tera yun apne hoto mei dabana.. Tera yun muskurana ..tera yun muskurana.. .. .. Sach kahu toh tera jhooth apnana. Aur jhooth kahu toh tujhse tera sach nikalvana.. Voh raat ko tera mere kaano mei mera naam fusfusa jana.. Mere dil ki Dhadkan o ka ekdum thamm jana.. Tera yun muskurana..tera yun muskurana.. .. .. Khud ko bhoolakr tera mujh mei samana.. Meri dabbi dabbi si muskurahat ke peeche chupe aansuoo ko tera yun padh jana.. .. Tera yun muskurana..tera yun muskurana..

Yunn na ban ajnabii ..marr na jaye hum abhii !!

Yunn na ban ajnabii ..marr na jaye hum abhii.. Yunn na ban ajnabii ..marr na jaye hum abhii.. Dil se tujhe nikala nahi..khud ko abhi sambhala nahi Essi na ban bekhudii !! Essi na ban bekhudii !! marr na jaye hum abhii.. Yunn na ban ajnabii.!! .. Qasoor bas itna hai dil ka ki roz tujhe yaad krleta hai.. Saans aaye ya na aaye lekin baato baato mei tera izhaar krleta hai.. Kaisi laggi hai tujhse dillagii !! Kaisi laggi hai tujhse dillagii !! Yunn na ban ajnabii ..marr na jaye hum abhii..!! .. Yun toh chupa leti hai meri zubaan teri baato ko.. Par waqt kahan raha ab ki dohraa du tere sath bitayii un yaadon ko.. Badhaa diye do dilo ke fasle ae meri zohrajabeen..ae meri zohrajabeen!! Yunn na ban ajnabii ..marr na jaye hum abhii..!! .. Voh kehte hai ki khel hai yeh kismat ka jo tu mera nahi ho payaa.. Usse kya pata jisse saddiyo chaha usse tha bas do pal ke liye payaa.. Frr kyu huii tujhse berukhi..Frr kyu huii tujhse berukhi..!! Yunn na ban ajnabii ..marr na jaye hum abh...

Haan aaj fir tum pe pyaar aayaa !!

Haan aaj fir tum pe pyaar aayaa!!  Haan aaj fir tum pe pyaar aayaa !! Dil ki kitaab khuli toh uss mei tera chehra nazar aayaa. har jagah har ghadii tera hi nashaa chayaa.. .. Palke jhukii toh uska khayal aayaa Kiss modd pe mile the kahan hume tumhara junoon le aayaa. Haan aj fir tum pe pyaar aayaa!! Haan aaj fir tum pe pyaar aayaa !! .. Chehre ki uss masumeyat ne mere dil ka chain udayaa. pal pal tera naam lekar zindagii ne mujhe jeena sikhayaa.. Haan aaj fir tum pe pyaar aayaa!!  Haan aaj fir tum pe pyaar aayaa !! .. Maine khudd ko bhulakr tujhko payaa haan tujhko payaa. Uss rab se bhi zaada tere pyaar ko apne dil mei basayaa. Haan aaj fir tum pe pyaar aayaa!! Haan aaj fir tum pe pyaar aayaa !! .. Meri ibadat ka rangg uppr vale ne is qadar dikhaya ki aayinee mei bhi ab teraa hi chehraa nazar ayaa.. Mudkarr dekha toh peeche khada saaya bhi teri hi orrr payaa. Haan aaj fir tum pe pyaar aayaa!! Haan aaj fir tum pe pyaar aayaa!!!!