Na kar gila uss cheez pe jo tujhse esse khogaya.. Tuta sitaara tha jo tu woh dekh chaand hogaya..!! .. Khudpe yaqeen rakh ke jo tha raakh mei hi sogaya..!! Chingaariyon ki aag se woh tha mashaal hogaya..!! .. Na gam usse hawa ka tha na darr usse uss raat ka.. Sulgaa tha jo uss raat mei woh yaar jugnoon ka hogaya..!! .. Shikhar ki orr nazar kare woh raah se phir kyun dare.. Jo raah pe the yunn chale woh safar mei hi phir kyun mare..!! .. Hai faaslon ki yeh ghadi ismei na ruk tu yun abhi.. Tu ladd zara iss waqt se hai kya kami tujhko khali.. .. Chal ke teri ab manzilein bhi esse ek din aayengi.. Lehra uthega naam tera hawayein bhi yeh gaayengi..!! .. Dafan fir har khushi ke neeche gam bhi yun hojayega.. Tu rakh yaqeen khudpe hi tu khud bada hojayega..!! .....